HAMZAD: Lawazmaat e Amal
Hamnasheeno ! bohat sey dost amal e
hamzaad key shoqeen hein aur is baat tak sey waqif nahee hein key qudrat
e khudawandi kee yeh makhlooq kis qadar taqatwar aur apni azaadi ko
barqaraar rakhney par musir hey. bus aik hee dhun hey key issey musakhar
kar lein aur buss. jo makhlooq iss qadar taqauat war ho key jis kaa
andaza tak lagana naa mumkin ho to bhala wo aik youm, 7 youm, 21 ya phir
sirf 40 youm mein kiunkar qaboo mein aa sakta hey,. jahan tak mera
zaati khayal hey jab ham 7 din ka amal shuru kartey hein aur saatwein
din tak kaamyaabi kaa door door tak shaiyba na ho, to ham kuch mayoos
aur maghmoom se ho jatey hein, yad rakhein yahi khawahish hey hamzaad
kee keh wo hamein kamzor iraada daikhna chahta hey, jesey hi 7 din
poorey huwey, ham naye aamil aur naye amal ki khoaj mein nikal jatey
hein aur koi neya amal azmaaney key liye tayar ho jatey hein. yaad
rakhein, aamilon ney jo jo amal hamzaad key liye bayaan kiye hein un sab
mein taqreeban 95% darust aur theek hein magar jesa k mein pehley bata
chuka amal mein kamyaabi hamarey 3 ya 7 ya 21 din poorey honey mein
nahin, balkeh apni quwwat e iraadi ko mazboot rakhney mein hey, zara
ghaour farmayein, jo b amal aap ko miley ga hamzad key taskheer ka kisi
ney bhee aisa nahi kaha key sirf 7 din amal karein har soorat mein
hamzaad hazir hoga, balkeh jitney bhi dino ka amal unho ney deya sabhi
ney yahi kaha key iss amal key teen 3 chilley poorey karein phir yeh bhi
kaha k allah ko manzoor huwa to hamzaad hazir hoga aur ejaab o qabool
key baad tabaiydaaree karga.
mein bohat dafa pehley bhee is baat ka
tazkira kar chuka hoon key amley hamzaad jahan apko hamzad ko taskheer
karney key baad dunya mein kamyaab tareen insaan bana deta hey, is
doulat e bey baha ki sharaiyt bhee utni he karri aur sakhat bhi hein.
magar ham sab doston kee aik he ratt hey k 1 ya 2 dino ka amal dey dein,
parhaiz bhi koi na ho, mein akaila nahin baith sakta, raat ko zeyada
daiyr tak jaag nahi saktaa, ye nahin kar sakta wo nahee kar sakta to
dosto aap zindagee key aur baqi masroofeyat ko nibhayein aur maazrat key
sath kahoonga keh ap taskheerat ka shouq na farmayein.
mein chahonga keh isi post mein aik
tafseel likh don parheiz jaat, pabandyan, bakhoorat, sharaiyt o zawabit
baraye amal e hamzad, aur akheer mein aik amal b dey donga. magar saath
mein aik guzaarish bhee krunga keh amal ko inhee sharaiyt wa zawabit key
saath karein mazeed tafseel chahein to roohani guide key email
addresses par rabta karein ya aap comment mein bhee apni mushkil aur
sawaal likh saktey hein. bohat zeyada uljhano mein daaley baghair saada,
asaan aur wazeh ahkaamat e amal mein apkey samney mukhtasir magar jamey
alfaaz mein bayan karney wala hoon, is par hamesha karband rahein.
(musasib laga to in sharayet ki mazeed wazahat b
kar dee jayga aur isey update bhi kar deya jayga.)
JIN PE AMAL NA KARNEY KI PABANDY HEY:
1. dimaghee amraaz waley mareez, kamzor, beemar, bawaseer key mareez, zakhmi halat
wala shakhs, ba'ad feili ki aadat wala shakhs, har waqt haiwaniyaatee fitrat, lazzat e
shahwaat aur napak khayalat zehn mein rakhney wala skhs. in tamam afraad mein se koi b
amal e hamzad shuru na karey jb tak in pabandiyoon se chuttkara na pa ley.
AMAL SHURU KARNEY SE PEHLY KI SHARAIYT:
1. aamil e hamzad ko chahye ko a'aala ikhlaq apney aur gunaah aur aaiyboon ko apney
nazeek na aney dey.
2. aamil e hamzad ko mazboot iraadey aur tawana qalbi quwat wala hona chahye.
3. amal shuru he mat karein agar ye yaqeen na ho key mukammal b kar sako gay ya nahin. ya
amal beech mein chhorney ka andesha ho to amal shuru na karna hee behtar hey.
4. apney asaab ko mazboot banayen aap ko dooran e amal khofzada bhe kiya ja sakta hey
esa na ho k zara see ahat pe bhee dil esa dharak shuru ho jaye key khuda ki panah. kiun
key amal hamzad mein logo ka intaqal bhi ho jata hey, hamzad key nuqsan punchaney kee waja se nahin, balkeh khud aamil key itna darr janey se key uska heart hee fail ho jata hey aur jaan se hath dho baithta hey.
5. agar aap ne amal shuru kar deya magar
mukammal na keya aur kisi bhee wajah se amal tarak kar deya to hosakta
hey hamzad apko nuqsan punhchye.
DOORAN E AMAL PABANDYAN:
1. jis kamrey ya jaga pe aap ye amal shuru karein wahan koi doosra dakhhil na ho, aur wo
jaga sirf aap se manoos ho, jab tak aap amal kar rahey hein.
2. shahwaat wa haiwaniyaat se mukammal parhaiz
3. kalaam, manaam ta'aam, kam kar dey. (guftagoo, sona aur khana), kaam khaye aur esa
khaye jo zood hazam ho, takeh tabeyat pe bojh na baney. raat ko amal parhna hey to din ko
so liya karey taakeh raaz mein neend ka ghalbaa amal mein rukawat na daaley.
4. doraan e amal khooshbooyaat aur bakhoorat har soorat jalti rahein.
5. amal k barey mein ya hamzaad key barey mein bilkul bhee apney dil mein shak paiyda na
honey dein.
6. apna sabaq jo b aapney parhna hey uska waqt, libaas, simt aik hee rahey, baldein mat.
7. ghusa, larai, jhagra, aib joee, gheebat waghera sb se parhaiz karein aur kitaboon key
mutaliya hee apna shughal rakhein jo keh behtreen hey.
4. apna amal ya azeemat ko theek se parhein zair zabar ki ghalti na ho.
5. mukammal parhez jalali rakhein, agar
nibgha sakein to roza b izaafi tour par behtar hey magar kam az kam
parhaiz jalali zaroori hey
EHTAYATI TADABEER DORAAN E AMAL E HAMZAD
1. dooran e amal apko hamzad dhokey dega, darayga, khawah makhah ki masroofeyaat
janam lein gee, ye sab kuch hamzad ki taraf se hoga takeh aap apna amal tarak kar dein
2. apney amal e hamzad ko sab se posheeda rakhein. aur kisi se bhee iska tazkara na karein
keh aap hamzaad ko musakhir karney ka amal kar rahey hein. siway apney peero murshid
ya us shakhs key jis se aap bazahir rahnumayee ley rahey hon
3. apka amal jitney din ka bhi ho wo pehla chilla kehlaye ga, so pehley chilley mein hamzad
haazir ho b jaye to agar aap key din aur tadaaad poori nahi huwi to apney ne akalm nahi
karna. chahey hamzad kuch bhe ap ko kahey jisey mein khud aa gaya hon, tmhein ab amal
karney ki zaroorat nahin waghera waghera
3. kisi bhi amal k bataye gaye dino ko pehla chilla maney, aur agar pehly chilly mein hee
hamzad zahir hota hey to thek warna usee amal key 3 chilley lazim karein teesry chilley mein
zaroor ajata hey hamzad
4. apna hisaar laazmi karein
5. agar shama jaalaa kar ya chiraagh
jalana maqsood ho to sarson ka tail istemal mat karein, balkeh koi
khoshboo wala jesey chanbeli ka tail istemal karein.
6. hamzad haazir ho jaye to us se
sharaif soch samjh kar tey karin, uski koi shart na maney balkey uski
shart ko apney liye mazeed asaan kartey jayein, usey koi etiraz na hoga,
lehaza ap ny uski koi shart nahi mannani.apni sharayet manwaye aur
hamzaad ko doobara bulaney ka tareeqa bhee tey kar lein
mazeed koi sawal poochna ho to ap email bhee kar saktey hein
saadat.gillani@yahoo.com
team.roohani.guide@gmail.com