Asan Amal Taskheer Hamzad
Yeh amal aik amil buzurg se mila hai buhut
asan amal hai .lekin mehnat ki zarorat hai bus jis din yeh amal kiya jaye us
din is bat ka khayal rakha jaye ke jo bhi khaeen khanay se pehle us ko Us ka
thora sa hisa zameen par dal do aur chupke se kaho ke lo hamzad ye tum kha lo Yeh
tumhara hisa hai pani ,sharbat ya koi bhi cheez ho khanay ya penay ki sab main
yeh khayal rakhna hai ke thora zameen pe dal do .agar pani pi rahay hain tu aik
ghoont zameen par dal dain aur kaheen ke lo hamzad pe lo yeh tumhara hisa hai .jo
cheez ho apnay moon main dalnay se pehle
zameen par dalain .yeh amal 40 din tak karna hoga
Kisi kisam ka koi parheez nahi hai bus rozaanna sonay se pehle 3,125 dafa sonay se pehle yeh parho . “ AYE HAMZAD SAMNAY AWO AUR MUJH
SE BATAIN KARO”
------------------------------------------------------------------------------
a salamu alaikum,main aap logo ko ek aasan
tarika batata hu hamzad ko kabu karne ka,mere ustad ke paas ek bahut purani
kitab hai usme maine padha tha mere ustad ne hamzad ko is amal se hamzad ko
tabeh kiya tha amal 10 din ka hai is amal se aapko 100% kamyabi milegi amal
karne ka tarika ye hai ke agar aap raat main amal karna cahte hai to sarso ke
tel ka chirag jalakar apni pith ke piche rakhke apni parchai ko dekh ke apne
naam ke aage ya laga ke 3500 baar bolna hai ya phir 1:30 se 2 ghante tak is
tarah kare,jaise agar aap ka naam sufyan hai to aap ko yasufyan bolna hai,aap
jitne din bhi ye amal kare utne din us jagah pe aap ke alava koi aana nahi
chahiye paaki or safai ka dhyan rakhe ye amal aap ko alag kamre main ya alag
ghar main karna hai jaha koi aata jata na ho or ek hi time par karna hai jaise
aaj aapne 12 baje amal kiya to 10 din tak aap ko 12 baje hi amal karne k liye
baithna hai,agar aap ko amal din main karna hai to aap aise kamre ya makon main
kare jaha aap apni parchiye ko acchi tarah se dekh sake vaha par dhup honi chahiye
jise se aap ki parchai aachi tarah se dikha,ye baat ka bhi dhyan rakhe ke aap
jitne bhi din amal kare utne din jo bhi chiz khaye ya piye to us ko khane ya
pine se pehle uska thora hissa zamin par dalde or ye kaho ke lo sufyan(aamil ko
apna naam bolna hai) tu kha lo ya pilo is tarah 10 din tak kare inshallah 10
din ke baad ek shakti shali hamzad aap ke tabe hoga,agar aap 10 din main kamyab
nahi huve to aap ko 40 din tak yeh amal karna hai us kitab main likha tha ke
99% aap 10 din main kamyad ho jayange agar aap ne apne zehen ko kabu main rakh
kar amal kiya to kamyab hona aamil ke haat main hai jitne aache se amal karega
utni jaldi kamyad hoga,parhez me ho sake to aamil sonam ke bataye huve parhez
kare parhez karne se jaldi kamyabi milti hai is liye parhez karna behtar hai,is
amal se koi nuksan nahi hai jaise dusre amal main hai ke agar aapne amal
chordiya to hamzad aap ko pareshan karta hai is amal main aisa nahi hai agar
aap amal chor bhi dete hai to koi nukshan nahi hai,baki sab jankari to amil
sonam sahab ne bataye huvi hai vaise hi hai,hamzad se baat chit ke doran
hosyari se kaam le or uske shadhi shavalo ka javab soch samaz kar hosyari se de
is amal ko jarur azma ke dekhye aap zarur kamyab hoge inshallah,
---------------------------------------------------------------------------
TASKHEER E HAMZAD QURANI IN 21 DAYS
Ye amal andheray
me kia jata he, rat ke waqt kisi tanha kamra me karna hoga, qibla rukh beth
kar. roshni bilkul na ho, ankhain khuli rakhni hon gi or khuli ankhon se
andhery me hamzad ka tasawar rakhain ke samnay mojood he. bawuzoo ho kar shuroo
karain. amal keliy koi pak saf libas muntakhib kia jay or sirf amal ke waqt
pehna jay. libas qimti or fakhra na ho. doran e amal khusboo ka istimal rahay
kamra khushboo se muatar rahay or parhty waqt hamzad ka koi bhi bakhoor
sulgain. parhez sirf or sirf sharai mamnooat or makroohat se he, jo marzi khain
piyen, bas yad rahay ke shariyat ka haram haram he or shariyat ka halal halal
he. bas badboo dar ashiya or nasha awar ashiya se parhez karain koi parhez e
jilali ya jamali karnay ki zuroorat nahin. rozana 2100 bar wird karain magar
awaz itni oonchi ho ke khood ko sunai day. ankhen andhairy me markooz rakhen ke
hamzad smnay mojood he or ap usay keh rahay hain amal ye he.
یا
فلاں اُحْضُرُ اُحضُرُ بِحِقِ رُوْحُ الْاَ مِیْنْ
falaan ki jaga
apna nam lagaya jay, hamzad 21 yom me hazir hoga agar Allah na karay hamzad
hazir na ho to doobara or seh baara bhi karain hargiz hargiz nakam nahin hon
gay, istqlal shart he, mashoor badshah temoor se kisi ne poocha ke tumhari
kamyabi ka raz kia he to us ne kaha ke me ne ek ghaar me ye chiyoonti se sikha
tha woh diwar pe charhti or gir jati bar bar nakam hoti rahi magar us ne himat
na hari or akhir kaar kamyab ho gai, taskhir e hamzad ek bahot bari kamyabi he,
Allah ki bahot barri nemat he jim e latif, or isay panay keliy jitni bhi mehnat
ki jay bahot kam he, aj insan ye chahta he ke hamzad jesi quwat bhi bas chand
rat ke amal se mil jay to esa hona bahot mushkil he qk me ne tafsilan byan kia
ke kis tarah ke amlyat jald kamyab kar sakty hain or un me jo khatrat chupay
hain woh bhi byan kar diy, meri zati ray me taskhir e hamzad qurani amal se hi
ki jay qk ek to us me hamzad hi hazir hota he dusra us me kuch gunah nahin or
teesra parhez na honay ke barabar or sab se ehm bat ke nuqsan ka matliqan
khadsha nahin. Ab aata hoon is amal ki sehat ki taraf ke ye amal kis qadar
mooasar he, to ap sab log jo amliat se shaghf rakhty hain ye bakhoobi janty
hain ke amilin or aam log bhi ba muakil amal ki talash me rehty hain or ye bhi
nahi janty ke unho ne istakhraj se jis muakil ka nam nikala he wo koi muqarib
muakil he ke nahin, magr ye amal ba muakil bhi he or muakil bhi rooh ul amin,
yeni Hazrat Jibrail A.S jin k 6000 sirf par hain or har par zamin se bhi hujam
me barh kar he woh farishta jo Allah ne sirf or sirf peghambaron ke pas bheja
Quarn e majid me is farishtaa ki kai maqat pe tehsin biyan hui. bas pa band e
shariyat hon or Allah ke kalam ka asar dekhain. Dua he ke Allah ap ko kamyab
farmay Amin.
---------------------------------------------------------------------------------
TASKHEER E HAMZAD ke 3 Amal
Sab
se ziyada readers ne batni taskhir e hamzad pe likhnay ko kaha, is zaman me
sirf do amal pesh kiy jain ge, dono hi 100% authentic hain, ek asan he ek
mushkil, Is post me asan amal pesh kia ja raha he next post me Insha Allah
Qurani amal pesh kia jay ga batni taskhee keliy. amal ye he,
is
amal ke karny ke muta,adid tariqay mojood hain jo mery nazdik mustanad hain woh
pesh karta hoon.
1)
bad az namaz e isha pas e pusht chragh jala ke say par nazar jama kar 3125
martaba apna nam parha jay, name ke pichay kalma ya lagay jay jesay agar
kisi ka name saleem he to "YA SALEEM" parhna hoga, mdat 41 yom ho gi.
41 vain yom jo chiz bhi samny nazar ay ya kuch bhi nazar na ay ap ne kehna he
tum samny nahin aty na ao magar har waqt mery sath raho or jo me kahoon usay poora
karo. magar yahan ek bat yad rakhen ke is amal me ye bhi mumkin he ke hamzad
khood samny aa jay tab ap sharait tay kar lain jab wo kalam karay magar tadaad
or mudat dono poori hona lazim he. agar hamzad samny nahi ata to batni taskheer
ho jay gi. 41 din jo bhi tamasha ho sab se poshida rakha jay. ek bar phir yad
dihani kara doon ke agar doran e amal kisi bhi din apko hamzad nazar ay to
samjh len ke ye amal apko zahiri taskhir tak le ja raha he phir bas ye pukhta
yaqin rakh len ke ab ye kalam karay ga or jab tak kalam na karay amal jari
rakhain.
2)
namaz e isha ke bad tanha kamra me charagh jala kar saya ki gardan pe nazar
jama kar apny name ke pichay kalma ya laga kar apny name ke adad (Abjid e qamri
se liy jain) ke mutabiq parha jay is amal me mudat ka ta,ayan nahi he lekin
6mah tak lag sakty hain or is me hamesha zahiri taskhir hoti he ye batni keliy
nahin, jis din bhi hamzad kalam karay woh amal ka akhri din hoga chahy pehlay
din hi samny a ke kalam kary ap sharait tay kar lain, magar tadad poori kar ke
hi kalam karna he.
HIDAYAT:
ye
hidayat ooper darj dono tariqon pe lagoo hon gi.
- khany pinay me kisi qism ka parhez nahin hoga jo marzi khain, sirf badboo dar or manashi ashiya ka parhaiz hoga.
- parhez bas itna he ke jo bhi khain pehly hamzad ko uska hisa dain, yeni pehly hamzad ko dena he phir khood khana he, masalan ek luqma zamin pe daal diya or agar tanha bethay hain to zaban se kahen ke ay hamzad ye tumhara hisa he isay kha lo or mery pas aa jao, or agar tanha nahi bethay to zaban se to kuch na kahen magar ek luqma gira dain ye khyal karty huy ke ye hamzad ka hisa he.
- har khany ki chiz me se usay hisa dena hoga pani piny se pehly bhi ek ghoont zameen pe dalna hoga.
- amal chand ki ibtidai tarikhon me kia jay.
- chagh or oil ya ghee ki koi khas shart nahi apni marzi ka jo bhi lay len or bas ye zaroori he ke shuroo se akhir tak charagh ek hi rahy or oil bhi ek hi qism ka maslan pehly din agar sarson ka tail chragh me daala tha to phir sarson ka tail hi dalna hoga koi or nahi daal sakty.
- or sab se ehm bat agar hamzad ko hisa dena bhool gay to amal barbad ho jay ga, isliy is amal ko sirf woh hazrat karain jinki yaddasht achi ho or unhain yaqin ho ke un se ye ghalti nahin ho g.
- is amal me kamra me kisi or ke dakhil na hony ki shart nahi he, doran e amal ytanhai zaroori he.
- hamzad ko khany me hisa bhi sirf amal ki muddat tak dena he.
3)
rat ke waqt pas e pusht charagh jala kar rozana 3125 martaba apnay name ke
pichay kalma "YA" laga ke say ki gardan pe nazar jamma kar pooray 41
yom tak parhez e jilali o jamli samet parna hoga, hamzad ko khanay me hisa deny
ki zaroorat nahin ho gi or agar dain ge to assar or barh jay ga 41 yom me zahri
ya batni taskhir me se ek lazmi hasil ho jay gi amal chand ki pehli das
tarikhon me karna hoga,
HISAAR:
upar
darj tino tariqon me sirf or sirf badni hisar kia jay bilkul bezarar amal hain.