Rohani Amil : ROHANIYAT O AMLIYAT O TAWEEZAT O TASKHEERAT O WAZAIF

Kala Jadu Kesay Kartay Hain

Kala Jadu Kesay Kartay Hain

App sab ne ajj tak yeh tu suna hoga ke kala Jadu aysay kartay hain .yeh Cheezen cahiye hoti hain.kisi ke peron ki matti ,kisi ke ball,na pak rehna parta hai ,khane peene ki cheezo per,insan ke nakhun se , kaproon se aur bhi buhut saray tareekay hain .Magar Amil aysa kya parhtay hain ke Kala Jadu Hojata hai 

Yani Jadugar parhta kya hai ke kala Jadu ho jata hai aur parhnay main aysi kya khasiyat hoti hai ...

aur kala jadu haram kyun hai .



1.Amil Kalay Jado main Jo Alfaz ya ( Amal ) parhta hai wo Quran Pak ki kisi Ayat ko Ulta karkay parhta hai jese ke , Mehmood  hai tu ( doomhem ) parhay ga
2. Quran e pak jesi Muqadas kitab se kala jadu ?? app heran hongay .magar haqiqat yehi hai jab koi insan quran e pak ke Alfaz ko Ulta kar ke parhta hai tu Shaitan ( DEVIL ) khush hota hai ke is ne Allah ki Kitab ko ghalat tarikay se parha aur wo is ke badlay hamara har kam karta hai 
3.Kala jadu isi liye haram hai ke app Quran jesi Muqadas kitab ki Bedbi kar rahay hotay hain .aur Shaitan se madad lekar kam karwa rahy hotay hain
4.Kala jadu karnay wala Islam se (kharij) kardiya jata hai aur wo kabhi jannat main nahi jayega .Us ka hamesha thikana (Dozakh ) hoga .cahye wo kuch bhi karlay .
5.Shaitan Kala Jadu karnay se Har kam karta hai takay Insan khush ho jaye aur jab insan khush hota hai tu wo sab kuch bhool jata yeh bhi ke wo kab tak is dunya main reh le ga kabhi tu usay bhi marna hai
6.Kalay jadu main zyada tar  insani Hadiyon se Amal kya jata hai aur jo kar raha hota hai wo yeh soch nahi raha hota ke yeh hadiyan insan ki hain , yeh khopri ek insan ki hai ,kya wo khud insan nahi hai kisi din us ki khopri aur hadiyan isi tarha nahi parhi hongi .
7.Koi insan sochta hai ke wo buhut Gunahgar hai us ne intay gunah kiye hain ke wo lazmi (Dozakh) main jayega tu kyun na baki zindagi kala jadu kar ke mazay main guzar di jaye .agar koi aysa sochta hai tu wo Ghalti per hai , kyun ke us ke Gunah Allah Maaf Kar sakta hai kyun ke wo Rehman aur Raheem hai.Agar Gunah Maaf na bhi howay tu Wo apnay gunahon ki Saza Kat kar Jannat main Zaroor jayega .jis tarha (Qaidi) saza kat ke jail se wapis ata hai isi tarha Musalman Saza kat ke (Dozakh) se ayega aur jannat mai jayega kyun ke wo (Muhammad S.A.W) ki Ummat main se hai.
8.Agar koi kala jadu karta hai tu wo kabhi Jannat main nahi jayega Sari jindagi (Dozakh) main rahay ga aur kabhi wapis nahi aayega kyun ke wo (Muhammad S.A.W) ki ummat se kharij kardiya jayega.aur agar koi kala jadu kar ke Allah ki muqadas kitab ki Bedbi kar ke yeh Sochta hai ke (Allah Rehman aur Raheem hai ) aur allah usay bhi maaf kardega tu yeh us ki ghalat fehmi hai
 usay main Bata doon ke ( Allah Jabar aur Qahar bhi hai ) 
9.kalay jadu ke zariya jinnat bhi kabo hojaatay hain aur buhut sari taqatain bhi ati hain.aysi taqatain jis ka insan Tasawur bhi nahi kar sakta. in taqatoon ko agar koi hasil kar leta hai tu buhut Guroor se kheta hai ke main yeh hoon , magar apnay anjam se bekhabar ke ek din usay ibratnak Anjam se Dochar hona paray ga.
10.Main kehta hoon ke insan kala jadu sirf  taqat ke liye karta hai aur yeh taqat usay buhut mhengi parti hai .Kala jadu karnay se behtar hai ke wo Allah ke kareeb hojaye ,yani Mazhab ki taraf aye .
Allah usay in sab se zayada taqateen dega itni ke wo tasawur na kar sakay aur jannat alag uska intizar kar rahi hogi .Allah Walay Bururg ( OWLIYA KARAM) is baat ka moon bolta saboot hain ab bhi dunya main aysay allah walay hain jo har jadu ka tor kar saktay hain , wo 1 Second main dunya ke dosray konay main jasaktay hain
 aur bhi buhut kuch kar saktay hain .main sirf itna kahonga ke 
Shaitan aur Kalay Jadu ki Taraf jaogay Tu( Khaak Hojao gay)
Allah aur Rasool S.A.W ki taraf aogay tu  (Dunya aur Akhirat dono main Jannat pao gay )



Apni is Thread main mainay buhut se Secrets Exposed kye hai jo zyada tar logon ko nahi maloom .umeed karta hon ke app sab ki maloomat main buhut izafa huwa hoga.

yeh sab mainay is liye nahi bataya ke koi isay parh kar  kala jadu karay.balkay is liye bataya hai ke koi ghalti se aysa na kar bethay .agar koi is thread ko parh kar kala jadu karta hai tu gunah ka zimaydar khud hoga

Share this article :

Subscribe US

Share

 
Support : About Website | Rohani Amil | Donation For Helpless
Copyright © 2010 To 2099. Rohaniyat O Amliyat - All Rights Reserved
Website Created by Rohani Amil Published by Rohaniyat O Amliyat
Proudly Powered By Blogger